Namaskar, Main bharatiyata hoon.
Shayad aapne mujhe pehchana nahi...
kya keh rahe hain aap? kya main aapko dikhti nahi?
Kya? aajtak aap mein se kisi ne mujhe theek se dekha nahi?
Zara dhyaan se sochiye, thoda kasht dijiye apne bharatiya- chit ko-
yaad kijiye- kahin toh dekha hoga..!
Roz roz, kahi na kahi .. toh mulakat hoti hogi hamari.
Haalaanki maine aapko bhali-bhanti pehchan liya hai!
Dekhti hoon main aapko, wa aapke bhai-bandhuon ko bhi.
Jee haan, bade gaur se, dekha hai.. nazdiki se pehchana hai maine aapko-
Aap wahi hain na,... jo bus stop pe har subah 9 baje khade hote hain apna bag lekar... shayad daftar jaane ke liye ... haan daftar hi jaana hota hoga, tabhi toh paan ki peek vahin bus stand pe thook dete hain, aap. Ab zahir si baat hai, daftar ke shouchalaya mein jaakar thookna toh bharatiya sanskriti ke virudh hoga. Ya uski tauheen hi maan lijiye.
Aji hum seedhe saade khadi-lote wale log, kab se is pashchatya sanskriti ke mehenge washbasinon ke mohtaaj ho gaye. Nahi, nahi, aisa ghinn vichar man mein utpann karne se pehle main mitti mein kyun na sama gayi! Oh! maaf kijiyega..aapke komal-nirmal bharatiya man ko thhes pahuchane ka irada nahi tha mera! Bharat ki mitti se koi bair nahi hai mujhe- ho bhi kaise sakta hai- shayad mera vyaktitva usi mein toh samaya hua hai. (ab ise dwi-arthiya 'pun' na maan lijiyega- main poori sanjeedgi ke saath yeh keh rahi hoon- Vanar sena ke mere bhai-bandhu, apni gadayein neeche rakh dein- bhool chook maaf! )
Haan toh, kya kya ginaoon main.. aur bhi bahut mulakaatein hoti hain humari.
Aap wahi hain na, jo sadak pe chalte chalte pe badi mehnat se, diwar ka ek sundar kona dhoondte hai, uspe apne varsha-ritu ki chaap chodne ke liye.
Bada hi vishaal hriday hai aapka, maana padega! Badi hi khule, vikas-shil vichar dhaara hai aapki. Mazhab ki uchi diwarein bhi aapko aapke karam- dharam se dagmaga nahi paati.
(Main saakshi hoon iski- us chuninda diwar pe chahe Mahatma gandhi ka sandesh chapa gaya ho, ya Shiv ji, hanuman bhagwaan ka poster- chitra ityaadi ho, aap ne ek baar jo thaan li, woh bedhadak karke hi dum lete hain. Aapko mera kshat-kshat naman! )
Kuch yaad aa raha hai?
Chaliye thode aur yaadasht tez kara doon.
Bus mein bhi toh dikthe hain aap. Bheed bhari busmein. Dhakke khaate hue.Seat pe baithi, ya saath kadhi hui, apni bitiya ki aayu ki kanya ke saath sahanubhooti prakat karte hue. Shayad sahaanubhooti sahi shabd nahi hoga. Kuch toh prakat karte hain aap.
Kabhi kabhi toh pratyaksh roop se! :O
Pata nahi, woh bachchi kyun vichlit ho jaati hain- saham si jaati hai, uski chehre ke bhaavon se toh kuch aisa prateet hota hai ki woh ro hi na pade. Ya shayad aapke aansoon chalkane ka prayatna kare.
Wahi pashchatya sanskriti ka asar hai janab, yeh toh main bhi dekhti hoon. Uske vastron se hi pata chal jaata hai, uski samasya ki jad. Jeans- top pehni hoti hai woh ladkii, hai na!
hmmm... par us bitiya ka kya, jo salwar suit mein hoti hai.. maine aapko kai baar usse bhi sahanubhooti- ya jo kuch bhi aap vyakt karne ki cheshta karte hain, -woh karte hue dekha hai.
Khair chodiye.
Ab main ghar ki baatein kya bataaon. Wahan bhi apne bharatiya- jharokhe se dekhti hoon main.
Aapki ardhangini ko bhi dekha hai maine. Sach! 'Ardh' shabd ka sampoorna arth ab samajhti hoon main. Sab kuch toh aadha hai uske vyaktitva mein.
JAb tak aap na ho uske saath, tab tak poori kahan hai woh. Aap duniya-dari na sikhaayein, toh ghar kaise chalayengi woh. Ab zaahir se baat hai, sikhaane mein sakhti toh baratni padti hi hai. Ati-uttam karte hain aap. Ratri dhalte hi, thode kadak bhaav se samjhaate dete hai, ardhangini ko uski galtiyan. Kitna thak jaate hain aap, shaaririk roop se- laatein aur ghoosa maarne mein khaya piya sab nikal jaata hai. Arre! mehez do-chaar thappad maarne ke baad bhi toh doodh ka gilas peena aavashyak ho jaata hai. Tab jaake toh woh ardhangini hone ka farz nibhati hai, aur apne aadhe-adhoore angon (haathon) ka prayog kar, doodh laati hai
woh!
Ab toh maan gaye, ki maine aapko dekha hai. Bahut karibi se samjha hai aapko.
Oh, kya aap yeh keh rahein hain ki maine bhale hi aapko dekha ho.. mere varnan se kahin bhi yeh pata nahi chalta, ki main kahan dikhi hongi aapko.
Arre mere Vanar- sainik, bahubali, zara kuch apne dimag par bhi zor lagao.
Kya mera aur tumhara vyaktitva bhinn hai?
Tum ho ek bharatiya. Tumhare vachan, karam, tumhari soch, dhrishti, tumhara hasna, bolna... in sab ka jod hi toh mera astitva banata hai. Bharatiyata tumse utpann hoti hai, hai na? Main toh ek vishaal darpan hoon, jo tum aur tumhari kaum ke sabhi vyaktiyon ki chaal-dhaal, soch-vichaar ka pratibimb apne seene mein sahej kar rakhti hoon.
Tum saare jaise, Main waisi.
Haan, magar yeh baat jaan lo ki mera vyaktitva, mera charitya sthir nahi. bilkul nahi! Aaj se hazaar saal pehle, main kuch aur bhi thi. Ajanta ellora ki gufaoon mein tum abhi bhi meri purani chavi ke kuch pehlu paaoge. Jao, himalaya ki chotiyon pe baithe rishi muniyon ke sandeshon ka jo maine varnan kiya hai, us par nazar daalo. Shayad rooh kaanp jaaye tumhari! Itni kampan ho jaaye shayad, ki kabhi raat ko chup chup ke Angrezi filmein dekhne -aur agle din bhari sabha mein unke 'begairat khulepan' ki kadi aalochna karte hue- bhi nahi hoti hogi!
Ab toh pehchaan liya na mujhe?
Ab soch rahe honge, kyun aayi hoon main tumhare paas. Saakshat. Mujhe pehchaan toh paaye nahi tum. Mujhe dekh kar kush khaas khush bhi nahi lag rahe. Shayad main utni aakarshak, ya khoobsoorat nahi ki tum mujhe apna sako. Kya duniya ke saamne seena thok kar yeh kehne mein jhijak hogi tumhe, ki main tumhari amanat hoon? Tumhari rachna hoon, tumhari hi jaagir? Kya mere daag tumhare malmal ki dhoti ki sundarta kuch kam kar denge?
Par mere bhai, main toh tumhe dhanyavaad kehne aayi thi! Kyunki aajkal phir nagade bajakar apna rahe ho na tum mujhe? mere raksha karne ki kasamein kha rahe ho. Aur mukar nahi sakte tum, tumne chilla chilla kar mujhe apni amanat bhi ghoshit kiya hai!
Apitu meri samajh mein yeh nahi aa raha, ki tum meri raksha kisse kar rahe ho? Aur kyun? Haalaanki mere apne vyaktitva ke varnan se yeh spasht hai, ki mere mein sahej kar rakhne wale gun aaj ke daur mein kam ho gaye hain. Par chalo, ek kshan ke liye maan lete hain, ki main anmol hoon. Apne andar abhi bhi Gargi, Maitreyi, Rani LAkshmibai jaise veeron, vidushiyon aur Mahabharata, Kamasutra jaise bhinn shreni ke uttam saahitya ko kise had tak samaye hui hoon.
Par kya ho sakta hai mera? Agar tum meri raksha ke liye aage na badho toh?
Main toh ek darpan hoon, bataya na maine. Tumhe dar hai ki main kahin toot na jaaon? Arre, moorkhon, kya farak padta hai isse! chaknachoor bhi ho jaaon mein, toh mera ek ek kan ek ek darpan rahega! Samaj ke pehluon ko darshaate hue. Kuch atiuttam, kuch pehlu nichle star ke. Wahi toh mera uddeshya hai. Mera karam.
Mere naam pe stri-jaati ka aur shoshan mat karo, karayon! Shayad, shoshan karna toh tumhari pravratti hai- chahe woh bus mein ho, bus stop pe , ya ghar ki chaar diwaron ke andar. Aur main darshati hoon tumhari saari pravrattiyan- aur kar bhi kya sakti hoon main.
Mita nahi sakti- yeh mera dharam nahi!
Par haan, mere naam par, meri aad mein, aise ghinoney karam na karo! Tumne jo kiya, mera woh hua. Aise nahi hai ki maine jo roop dharan karne ki guhaar ki, tumne use paane ke prayatna mein aise kukaram kiye.
Kitni aasaani se jhooth bol diya tumne. Kya socha? main ek mook darshak ki bhaanti dekhti reh jaaongi? Kyun? Tum mera shoshan kar sakte ho, kyunki mera vyaktitva bhi tum ek stri roopi dhaanche mein maante ho? Tumhari ardhaangini?- Nirbal, sehemi, goongi, aadhi-adhoori?
Kabhi kabhi sochti hoon, ki agar main bharatiya sanskriti na hokar, bharatiya sanskrata hoti- ya phir yu kahein ke purush ke samaan pehchaani, samjhi jaati, toh kya aaj tum jaise do kaudi ke gunde mujhe choo nahi paate? Mera sade-aam yun jalsaa na nikalta, aisa kashtdaayi pradarshan na hota, jaisa ki is desh mein aajkal stri varg ke sabhi sadasyon ka hota hai-
Aisa lagta hai ki hamari jhaanki nikal rahi hoon, rath pe sawaar ho hum. Apne kandhon par, apne budhe-buzurgon, khandaano, desh, kaum, aur sabhi falana dhamkaanon ke laaj-samman ka bhoj utha ke chal rahe hon hum. Rath ke saarthi ko pehchaante nahi, apnate nahi, samajhte nahi. Apitu, darte hai usse, ghinn si hoti hai usse. Uske haathon mein rath ki dor dekh man saham uthta hai. Lekin sabki nazarein hum par hi tiki hoti hain - kuch mein sawal hote hain, kuch mein shanka, ya aarop, kuch chand nazaron mein aasha hoti hai, kuch mein laachari.
Aur sabhi yeh apeksha rakhte hain ki hum muskurate rahein. Apni peeda andar dabakar, unhe ek sunahari, surakshit zindagi ka sapna dikhaayein. Aur jo na has paayein hum, dard aankhon se paani ban kar chalak jaaye, toh phir isi jhaanki pe patthoron ki bauchar laga denge yeh log, jo abhi fool barsaane ke liye khade hain, hamare swagat mein.
Kash! Kash main bharatiya- sanskrit-I na hoti! Ab mujhe yeh nahi hona!
Kash mera vyaktiva hota Bharatiya- Sanskrit-A ka!
Afsos, sach toh yeh hai, jo main bharatiya sanskrita hota, toh main kuch nahi hota. Shayad purush jaati ke gun sab mil kar bhi, le hi na paate roop aise vishal, swachchand darpan ka.
Yeh baat tum bhi jaante ho, aur main bhi.
Isiliye shayad main aajtak ek stree- ek Sanskriti ban kar reh gayi hoon. Aur baaki Streeyon ki tarah, Stree hone ka kar chuka rahi hoon.
Kabhi buson mein, kabhi gharon mein, toh kabhi mangalore ke pubs mein.
Signing off…